Woh rang bhi kya rang hai Milta na jo tere hoth ke rang se hubahu Woh khushboo kya khushboo Thehre na jo teri saanwari zulf ke rubaru Tere aage ye duniya hai pheeki si Mere bin tu na hogi kisi ki bhi Ab ye zaahir sar-e-aam hai, elaan hai Jab tak jahaan mein subah shaam hai Tab tak mere naam tu Jab tak jahaan mein mera naam hai Tab tak mere naam tu (2) Uljhan bhi hoon teri Uljhan ka hal bhi hoon main Thoda sa ziddi hoon Thoda pagal bhi hoon main Barkha bijli baadal jhoothe Jhoothi phoolon ki saugatein Sacchi tu hai saccha main hoon Sacchi apne dil ki baatein Dastkhat haathon se haathon pe kar de tu Naa kar aankhon pe palkon ke parde tu Kya ye itna bada kaam hai, elaan hai Jab tak jahaan mein subah shaam hai Tab tak mere naam tu Jab tak jahaan mein mera naam hai Tab tak mere naam tu (2) Mere hi ghere mein ghoomegi har pal tu aise Sooraj ke ghere me rehti hai dharti ye jaise Paayegi tu khudko na mujhse judaa Tu hai mera aadha sa hissa sadaa Tukde kar chaahe khaabon ke tu mere Tootenge bhi toh rehne hain woh tere Tujhko bhi toh ye ilhaam hai Elaan hai…